main us gulshan ka bulbul hun bahaar aane nahin pati
ki sayyaad aan kar mera gulistan mol lete hain
Haidar Ali Aatish
main wo gham-dost hun jab koi taza gham hua paida
na nikla ek bhi mere siwa ummid-waron mein
Haidar Ali Aatish
mai-kade mein nashsha ki ainak dikhati hai mujhe
aasman mast o zamin mast o dar-o-diwar mast
Haidar Ali Aatish
mard-e-darwesh hun takiya hai tawakkul mera
KHarch har roz hai yan aamad-e-baalai ka
Haidar Ali Aatish
mast hathi hai teri chashm-e-siyah-mast ai yar
saf-e-mizhgan use ghere hue hai bhaalon se
Haidar Ali Aatish
mehndi lagane ka jo KHayal aaya aap ko
sukhe hue daraKHt hina ke hare hue
Haidar Ali Aatish
meri tarah se mah-o-mahr bhi hain aawara
kisi habib ki ye bhi hain justuju karte
Haidar Ali Aatish

