hawa-e-daur-e-mai-e-KHush-gawar rah mein hai
KHizan chaman se hai jati bahaar rah mein hai
gada-nawaz koi shahsawar rah mein hai
buland aaj nihayat ghubar rah mein hai
adam ke kuch ki lazim hai fikr hasti mein
na koi shahr na koi dayar rah mein hai
na badraqa hai na koi rafiq sath apne
faqat inayat-e-parwar-digar rah mein hai
safar hai shart musafir-nawaz bahutere
hazar-ha shajar-e-saya-dar rah mein hai
maqam tak bhi hum apne pahunch hi jaenge
KHuda to dost hai dushman hazar rah mein hai
thaken jo panw to chal sar ke bal na Thahr 'atish'
gul-e-murad hai manzil mein KHar rah mein hai
Ghazal
Hawa-e-daur-e-mai-e-KHush-gawar rah mein hai
Haidar Ali Aatish