na gor-e-sikandar na hai qabr-e-dara
miTe namiyon ke nishan kaise kaise
Haidar Ali Aatish
na jab tak koi ham-pyala ho main mai nahin pita
nahin mehman to faqa hai KHalilullah ke ghar mein
Haidar Ali Aatish
na pak hoga kabhi husn o ishq ka jhagDa
wo qissa hai ye ki jis ka koi gawah nahin
Haidar Ali Aatish
na puchh haal mera chob-e-KHushk-e-sahra hun
laga ke aag mujhe karwan rawana hua
Haidar Ali Aatish
pa-ba-gil be-KHudi-e-shauq se main rahta tha
kucha-e-yar mein haalat meri diwar ki thi
Haidar Ali Aatish
payambar na mayassar hua to KHub hua
zaban-e-ghair se kya sharh-e-arzu karte
Haidar Ali Aatish
payam-bar na mayassar hua to KHub hua
zaban-e-ghair se kya sharh-e-arzu karte
Haidar Ali Aatish

