koi but-KHane ko jata hai koi kabe ko
phir rahe gabr o musalman hain teri ghat mein kya
Haidar Ali Aatish
koi to dosh se bar-e-safar utarega
hazaron rahzan ummid-war rah mein hai
Haidar Ali Aatish
kufr o islam ki kuchh qaid nahin ai 'atish'
shaiKH ho ya ki barhaman ho par insan howe
Haidar Ali Aatish
kucha-e-yar mein ho raushni apne dam ki
kaba o dair karen gabr o musalman aabaad
Haidar Ali Aatish
ku-e-jaanan mein bhi ab is ka pata milta nahin
dil mera ghabra ke kya jaane kidhar jata raha
Haidar Ali Aatish
lage munh bhi chiDhane dete dete galiyan sahab
zaban bigDi to bigDi thi KHabar lije dahan bigDa
Haidar Ali Aatish
libas-e-kaba ka hasil kiya sharaf us ne
jo ku-e-yar mein kali koi ghaTa aai
Haidar Ali Aatish

