ek aziyyat hai to lazzat bhi tere dard mein hai
be-sukuni mein bhi aaram bahut aata hai
Bushra Farrukh
arsa hua kisi ne pukara nahin mujhe
shayad kisi ko meri zarurat nahin rahi
Bushra Hashmi
dil ke zaKHmon ki chubhan dida-e-tar se puchho
mere ashkon ka hai kya mol guhar se puchha
Bushra Hashmi
jo na kaT saka wo nishan tha kisi zaKHm ka
jo na mil saka wo sarab tha koi KHwab tha
Bushra Hashmi
sarmaya-e-hayat hua chahta hai KHatm
jis par ghurur tha wahi daulat nahin rahi
Bushra Hashmi
wahi lafz hain durr-e-be-baha mere waste
jinhen chhu gai ho teri zaban mere mehrban
Bushra Hashmi
adab talim ka jauhar hai zewar hai jawani ka
wahi shagird hain jo KHidmat-e-ustad karte hain
Chakbast Brij Narayan