na-umidi hai buri chiz magar
ek taskin si ho jati hai
Bismil Saeedi
na-umidi hai buri chiz magar
ek taskin si ho jati hai
Bismil Saeedi
o raha hun aaj main sare jahan ke samne
roega kal dekhna sara jahan mere liye
Bismil Saeedi
sar jis pe na jhuk jae use dar nahin kahte
har dar pe jo jhuk jae use sar nahin kahte
Bismil Saeedi
sukun nasib hua ho kabhi jo tere baghair
KHuda kare ki mujhe tu kabhi nasib na ho
Bismil Saeedi
Thokar kisi patthar se agar khai hai main ne
manzil ka nishan bhi usi patthar se mila hai
Bismil Saeedi
tum jab aate ho to jaane ke liye aate ho
ab jo aa kar tumhein jaana ho to aana bhi nahin
Bismil Saeedi