zamana-saziyon se main hamesha dur rahta hain
mujhe har shaKHs ke dil mein utar jaana nahin aata
Bismil Saeedi
nafrat se bacha kar tu ulfat ko saja dil mein
paigham mohabbat ka har bar diye jaana
Bubbles Hora Saba
apne sare raste andar ki jaanib moD kar
manzilon ka ek nishan bahar banana chahiye
Bushra Ejaz
jab rakh se uTThega kabhi ishq ka shoala
phir paegi ye KHak shifa aur tarah ki
Bushra Ejaz
mere nukta-dan tera fahm apni misal hai
main hun ek sada sawal koi jawab de
Bushra Ejaz
meri apni aur us ki aarzu mein farq ye tha
mujhe bas wo use sara zamana chahiye tha
Bushra Ejaz
shab bhi hai wahi hum bhi wahi tum bhi wahi ho
hai ab ke magar apni saza aur tarah ki
Bushra Ejaz