is ko na-qadri-e-alam ka sila kahte hain
mar chuke hum to zamane ne bahut yaad kiya
Chakbast Brij Narayan
jo tu kahe to shikayat ka zikr kam kar den
magar yaqin tere wadon pe la nahin sakte
Chakbast Brij Narayan
KHuda ne ilm baKHsha hai adab ahbab karte hain
yahi daulat hai meri aur yahi jah-o-hasham mera
Chakbast Brij Narayan
kiya hai fash parda kufr-o-din ka is qadar main ne
ki dushman hai barhaman aur adu shaiKH-e-haram mera
Chakbast Brij Narayan
lucknow mein phir hui aarasta bazm-e-suKHan
baad muddat phir hua zauq-e-ghazal-KHwani mujhe
Chakbast Brij Narayan
manzil-e-ibrat hai duniya ahl-e-duniya shad hain
aisi dil-jami se hoti hai pareshani mujhe
Chakbast Brij Narayan
maza hai ahd-e-jawani mein sar paTakne ka
lahu mein phir ye rawani rahe rahe na rahe
Chakbast Brij Narayan