koi phul sa hath kandhe pe tha
mere panw shoalon pe jalte rahe
Bashir Badr
loban mein chingari jaise koi rakh jae
yun yaad teri shab bhar sine mein sulagti hai
Bashir Badr
log TuT jate hain ek ghar banane mein
tum taras nahin khate bastiyan jalane mein
Bashir Badr
man mausam ka kaha chhai ghaTa jam uTha
aag se aag bujha phul khila jam uTha
Bashir Badr
mahak rahi hai zamin chandni ke phulon se
KHuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai
Bashir Badr
mahlon mein hum ne kitne sitare saja diye
lekin zamin se chand bahut dur ho gaya
Bashir Badr
main bolta hun to ilzam hai baghawat ka
main chup rahun to baDi bebasi si hoti hai
Bashir Badr