KHuda aise ehsas ka nam hai
rahe samne aur dikhai na de
Bashir Badr
KHuda hum ko aisi KHudai na de
ki apne siwa kuchh dikhai na de
Bashir Badr
KHuda ki itni baDi kaenat mein main ne
bas ek shaKHs ko manga mujhe wahi na mila
Bashir Badr
kisi ne chum ke aankhon ko ye dua di thi
zamin teri KHuda motiyon se nam kar de
Bashir Badr
kitni sachchai se mujh se zindagi ne kah diya
tu nahin mera to koi dusra ho jaega
Bashir Badr
koi baadal ho to tham jae magar ashk mere
ek raftar se din raat barabar barse
Bashir Badr
koi hath bhi na milaega jo gale miloge tapak se
ye nae mizaj ka shahr hai zara fasle se mila karo
Bashir Badr