اردو हिंदी
Man mausam ka kaha chhai ghaTa jam uTha | Shaahi Shayari
man mausam ka kaha chhai ghaTa jam uTha

Ghazal

Man mausam ka kaha chhai ghaTa jam uTha

Bashir Badr

;

man mausam ka kaha chhai ghaTa jam uTha
aag se aag bujha phul khila jam uTha

pi mere yar tujhe apni qasam deta hun
bhul ja shikwa gila hath mila jam uTha

hath mein chand jahan aaya muqaddar chamka
sab badal jaega qismat ka likha jam uTha

ek pal bhi kabhi ho jata hai sadiyon jaisa
der kya karna yahan hath baDha jam uTha

pyar hi pyar hai sab log barabar hain yahan
mai-kade mein koi chhoTa na baDa jam uTha