main yun bhi ehtiyatan us gali se kam guzarta hun
koi masum kyun mere liye badnam ho jae
Bashir Badr
mera shaitan mar gaya shayad
mere sine pe so raha hai koi
Bashir Badr
meri aankh ke tare ab na dekh paoge
raat ke musafir the kho gae ujalon mein
Bashir Badr
mere sath chalne wale tujhe kya mila safar mein
wahi dukh-bhari zamin hai wahi gham ka aasman hai
Bashir Badr
mohabbat adawat wafa be-ruKHi
kirae ke ghar the badalte rahe
Bashir Badr
mohabbat ek KHushbu hai hamesha sath chalti hai
koi insan tanhai mein bhi tanha nahin rahta
Bashir Badr
mohabbaton mein dikhawe ki dosti na mila
agar gale nahin milta to hath bhi na mila
Bashir Badr