kaghaz mein dab ke mar gae kiDe kitab ke
diwana be-paDhe-likhe mashhur ho gaya
Bashir Badr
kabhi kabhi to chhalak paDti hain yunhi aankhen
udas hone ka koi sabab nahin hota
Bashir Badr
kabhi main apne hathon ki lakiron se nahin uljha
mujhe malum hai qismat ka likkha bhi badalta hai
Bashir Badr
kabhi to aasman se chand utre jam ho jae
tumhaare nam ki ek KHub-surat sham ho jae
Bashir Badr
kabhi to sham Dhale apne ghar gae hote
kisi ki aankh mein rah kar sanwar gae hote
Bashir Badr
kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko KHabar na ho
mujhe ek raat nawaz de magar is ke baad sahar na ho
Bashir Badr
kamre viran aangan KHali phir ye kaisi aawazen
shayad mere dil ki dhaDkan chuni hai in diwaron mein
Bashir Badr