اردو हिंदी
Jab raat ki tanhai dil ban ke dhaDakti hai | Shaahi Shayari
jab raat ki tanhai dil ban ke dhaDakti hai

Ghazal

Jab raat ki tanhai dil ban ke dhaDakti hai

Bashir Badr

;

jab raat ki tanhai dil ban ke dhaDakti hai
yaadon ke darichon mein chilman si sarakti hai

loban mein chingari jaise koi rakh jae
yun yaad teri shab bhar sine mein sulagti hai

yun pyar nahin chhupta palkon ke jhukane se
aankhon ke lifafon mein tahrir chamakti hai

KHush-rang parindon ke lauT aane ke din aae
bichhDe hue milte hain jab barf pighalti hai

shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai
jis Dal pe baiThe ho wo TuT bhi sakti hai