isi liye to yahan ab bhi ajnabi hun main
tamam log farishte hain aadmi hun main
Bashir Badr
isi shahr mein kai sal se mere kuchh qaribi aziz hain
unhen meri koi KHabar nahin mujhe un ka koi pata nahin
Bashir Badr
itni milti hai meri ghazlon se surat teri
log tujh ko mera mahbub samajhte honge
Bashir Badr
jis din se chala hun meri manzil pe nazar hai
aankhon ne kabhi mil ka patthar nahin dekha
Bashir Badr
jis par hamari aankh ne moti bichhae raat bhar
bheja wahi kaghaz use hum ne likha kuchh bhi nahin
Bashir Badr
kai sal se kuchh KHabar hi nahin
kahan din guzara kahan raat ki
Bashir Badr
kai sitaron ko main jaanta hun bachpan se
kahin bhi jaun mere sath sath chalte hain
Bashir Badr