muddat se ek laDki ke ruKHsar ki dhup nahin aai
is liye mere kamre mein itni ThanDak rahti hai
Bashir Badr
mujh se kya baat likhani hai ki ab mere liye
kabhi sone kabhi chandi ke qalam aate hain
Bashir Badr
mujhe ishtihaar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan
jo kaha nahin wo suna karo jo suna nahin wo kaha karo
Bashir Badr
mujhe lagta hai dil khinch kar chala aata hai hathon par
tujhe likkhun to meri ungliyan aisi dhaDakti hain
Bashir Badr
mujhe malum hai us ka Thikana phir kahan hoga
parinda aasman chhune mein jab nakaam ho jae
Bashir Badr
muKHalifat se meri shaKHsiyat sanwarti hai
main dushmanon ka baDa ehtiram karta hun
Bashir Badr
musafir hain hum bhi musafir ho tum bhi
kisi moD par phir mulaqat hogi
Bashir Badr