har dhaDakte patthar ko log dil samajhte hain
umren bit jati hain dil ko dil banane mein
Bashir Badr
hasin to aur hain lekin koi kahan tujh sa
jo dil jalae bahut phir bhi dilruba hi lage
Bashir Badr
hayat aaj bhi kaniz hai huzur-e-jabr mein
jo zindagi ko jit le wo zindagi ka mard hai
Bashir Badr
hazaron sher mere so gae kaghaz ki qabron mein
ajab man hun koi bachcha mera zinda nahin rahta
Bashir Badr
ijazat ho to main ek jhuT bolun
mujhe duniya se nafrat ho gai hai
Bashir Badr
ek sham ke sae tale baiThe rahe wo der tak
aankhon se ki baaten bahut munh se kaha kuchh bhi nahin
Bashir Badr
is shahr ke baadal teri zulfon ki tarah hain
ye aag lagate hain bujhane nahin aate
Bashir Badr