اردو हिंदी
Kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko KHabar na ho | Shaahi Shayari
kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko KHabar na ho

Ghazal

Kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko KHabar na ho

Bashir Badr

;

kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko KHabar na ho
mujhe ek raat nawaz de magar is ke baad sahar na ho

wo baDa rahim o karim hai mujhe ye sifat bhi ata kare
tujhe bhulne ki dua karun to meri dua mein asar na ho

mere bazuon mein thaki thaki abhi mahw-e-KHwab hai chandni
na uThe sitaron ki palki abhi aahaTon ka guzar na ho

ye ghazal ki jaise hiran ki aankh mein pichhli raat ki chandni
na bujhe KHarabe ki raushni kabhi be-charagh ye ghar na ho

kabhi din ki dhup mein jhum ke kabhi shab ke phul ko chum ke
yun hi sath sath chalen sada kabhi KHatm apna safar na ho