hath mein chand jahan aaya muqaddar chamka
sab badal jaega qismat ka likha jam uTha
Bashir Badr
hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai
kahin karobar si dopahr kahin bad-mizaj si sham hai
Bashir Badr
hum bhi dariya hain hamein apna hunar malum hai
jis taraf bhi chal paDenge rasta ho jaega
Bashir Badr
hum dilli bhi ho aae hain lahore bhi ghume
ai yar magar teri gali teri gali hai
Bashir Badr
hum ne to bazar mein duniya bechi aur KHaridi hai
hum ko kya malum kisi ko kaise chaha jata hai
Bashir Badr
hum to kuchh der hans bhi lete hain
dil hamesha udas rahta hai
Bashir Badr
haqiqaton mein zamana bahut guzar chuke
koi kahani sunao baDa andhera hai
Bashir Badr