اردو हिंदी
Na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki | Shaahi Shayari
na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki

Ghazal

Na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki

Bashir Badr

;

na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki
baDi aarzu thi mulaqat ki

ujalon ki pariyan nahane lagin
nadi gungunai KHayalat ki

main chup tha to chalti hawa ruk gai
zaban sab samajhte hain jazbaat ki

muqaddar meri chashm-e-pur-ab ka
barasti hui raat barsat ki

kai sal se kuchh KHabar hi nahin
kahan din guzara kahan raat ki