ek aurat se wafa karne ka ye tohfa mila
jaane kitni auraton ki bad-duaen sath hain
Bashir Badr
gale mein us ke KHuda ki ajib barkat hai
wo bolta hai to ek raushni si hoti hai
Bashir Badr
ghazlon ka hunar apni aankhon ko sikhaenge
roenge bahut lekin aansu nahin aaenge
Bashir Badr
ghazlon ne wahin zulfon ke phaila diye sae
jin rahon pe dekha hai bahut dhup kaDi hai
Bashir Badr
ghar naya bartan nae kapDe nae
in purane kaghazon ka kya karen
Bashir Badr
gharon pe nam the namon ke sath ohde the
bahut talash kiya koi aadmi na mila
Bashir Badr
hanso aaj itna ki is shor mein
sada siskiyon ki sunai na de
Bashir Badr