اردو हिंदी
Parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rahta | Shaahi Shayari
parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rahta

Ghazal

Parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rahta

Bashir Badr

;

parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rahta
kisi bhi aaine mein der tak chehra nahin rahta

baDe logon se milne mein hamesha fasla rakhna
jahan dariya samundar se mila dariya nahin rahta

hazaron sher mere so gae kaghaz ki qabron mein
ajab man hun koi bachcha mera zinda nahin rahta

mohabbat ek KHushbu hai hamesha sath chalti hai
koi insan tanhai mein bhi tanha nahin rahta