اردو हिंदी
Dua karo ki ye pauda sada hara hi lage | Shaahi Shayari
dua karo ki ye pauda sada hara hi lage

Ghazal

Dua karo ki ye pauda sada hara hi lage

Bashir Badr

;

dua karo ki ye pauda sada hara hi lage
udasiyon mein bhi chehra khila khila hi lage

wo sadgi na kare kuchh bhi to ada hi lage
wo bhol-pan hai ki bebaki bhi haya hi lage

ye zafrani pullower usi ka hissa hai
koi jo dusra pahne to dusra hi lage

nahin hai mere muqaddar mein raushni na sahi
ye khiDki kholo zara subh ki hawa hi lage

ajib shaKHs hai naraaz ho ke hansta hai
main chahta hun KHafa ho to wo KHafa hi lage

hasin to aur hain lekin koi kahan tujh sa
jo dil jalae bahut phir bhi dilruba hi lage

hazaron bhes mein phirte hain ram aur rahim
koi zaruri nahin hai bhala bhala hi lage