farq itna hai ki tu parde mein aur main be-hijab
warna main aks-e-mukammal hun teri taswir ka
Asad Bhopali
ghuncha o gul mah o anjum sab ke sab bekar the
aap kya aae ki phir mausam suhana aa gaya
Asad Bhopali
haalat ne kisi se juda kar diya mujhe
ab zindagi se zindagi mahrum ho gai
Asad Bhopali
ishq ko jab husn se nazren milana aa gaya
KHud-ba-KHud ghabra ke qadmon mein zamana aa gaya
Asad Bhopali
itna to bata jao KHafa hone se pahle
wo kya karen jo tum se KHafa ho nahin sakte
Asad Bhopali
jab zara raat hui aur mah o anjum aae
bar-ha dil ne ye mahsus kiya tum aae
Asad Bhopali
main ab tere siwa kis ko pukarun
muqaddar so gaya gham jagta hai
Asad Bhopali