phulon ki tazgi hi nahin dekhne ki chiz
kanTon ki samt bhi to nigahen uTha ke dekh
Asad Badayuni
purane ghar ki shikasta chhaton se ukta kar
nae makan ka naqsha banata rahta hun
Asad Badayuni
sab ek charagh ke parwane hona chahte hain
ajib log hain diwane hona chahte hain
Asad Badayuni
shaKH se TuT ke patte ne ye dil mein socha
kaun is tarah bhala mail-e-hijrat hoga
Asad Badayuni
suKHan-wari ka bahana banata rahta hun
tera fasana tujhi ko sunata rahta hun
Asad Badayuni
takallufat ki nazmon ka silsila hai siwa
talluqat ab afsane hona chahte hain
Asad Badayuni
wahan bhi mujh ko KHuda sar-buland rakhta hai
jahan saron ko jhukae zamana hota hai
Asad Badayuni