na aaya gham bhi mohabbat mein sazgar mujhe
wo KHud taDap gae dekha jo be-qarar mujhe
Asad Bhopali
na bazm apni na apna saqi na shisha apna na jam apna
agar yahi hai nizam-e-hasti to zindagi ko salam apna
Asad Bhopali
ye aansu DhunDta hai tera daman
musafir apni manzil jaanta hai
Asad Bhopali
asrar agar samjhe duniya ki har ek shai ke
KHud apni haqiqat se ye be-KHabari kyun hai
Asad Multani
ahen na rind ye zahid ke bas ki baat nahin
tamam shahr hai do-chaar das ki baat nahin
Asad Multani
sharab band ho saqi ke bas ki baat nahin
tamam shahar hai do chaar das ki baat nahin
Asad Multani
fikr-e-jahan dard-e-mohabbat firaq-e-yar
kya kahiye kitne gham hain meri zindagi ke sath
Asar Akbarabadi