udas ho na tu ai dil kisi ke rone se
KHushi ke sath ghamon ko bikharte dekha hai
Asar Akbarabadi
ulfat ka hai maza ki 'asar' gham bhi sath hon
tarikiyan bhi sath rahen raushni ke sath
Asar Akbarabadi
ulfat ke badle un se mila dard-e-la-ilaj
itna baDhe hai dard main jitni dawa karun
Asar Akbarabadi
zindagi ek nai rah par
be-irada hi chalne lagi
Asar Akbarabadi
zindagi tujh se ye gila hai mujhe
koi apna nahin mila hai mujhe
Asar Akbarabadi
aah kis se kahen ki hum kya the
sab yahi dekhte hain kya hain hum
Asar Lakhnavi
aaj kuchh mehrban hai sayyaad
kya nasheman bhi ho gaya barbaad
Asar Lakhnavi