gharib-e-shahr to faqe se mar gaya 'arif'
amir-e-shahr ne hire se KHud-kushi kar li
Arif Shafiq
jo mere ganw ke kheton mein bhuk ugne lagi
mere kisanon ne shahron mein naukri kar li
Arif Shafiq
kaisa matam kaisa rona miTTi ka
TuT gaya hai ek khilauna miTTi ka
Arif Shafiq
mujh ko waisa KHuda mila bilkul
main ne 'arif' kiya guman jaisa
Arif Shafiq
tujhe main zindagi apni samajh raha tha magar
tere baghair basar main ne zindagi kar li
Arif Shafiq
'arman' bas ek lazzat-e-izhaar ke siwa
milta hai kya KHayal ko lafzon mein Dhaal ka
Arman Najmi
acha kya rah gaya kalak bhare jhulse makanon mein
ujaDi bastiyon ki be-nishani ka tamasha ka
Arman Najmi