dard meraj ko pahunchta hai
jab koi tarjuman nahin milta
Arsh Malsiyani
diye jalae ummidon ne dil ke gird bahut
kisi taraf se na is ghar mein raushni aai
Arsh Malsiyani
farishte ko mere nale yunhi badnam karte hain
mere aamal likhti hain meri qismat ki tahriren
Arsh Malsiyani
hai dekhne walon ko sambhalne ka ishaara
thoDi si naqab aaj wo sarkae hue hain
Arsh Malsiyani
hai dekhne walon ko sambhalne ka ishaara
thoDi si naqab aaj wo sarkae hue hain
Arsh Malsiyani
husn har haal mein hai husn paraganda naqab
koi parda hai na chilman ye koi kya jaane
Arsh Malsiyani
ek raushni si dil mein thi wo bhi nahin rahi
wo kya gae charagh-e-tamanna bujha gae
Arsh Malsiyani