tira-o-tar KHalaon mein bhaTakta raha zehan
raat sahra-e-ana se main hirasan guzra
Arif Abdul Mateen
titliyan rangon ka mahshar hain kabhi socha na tha
un ko chhune par khula wo raaz jo khulta na tha!
Arif Abdul Mateen
wafa nigah ki talib hai imtihan ki nahin
wo meri ruh mein jhanke na aazmae mujhe
Arif Abdul Mateen
zat ka aaina jab dekha to hairani hui
main na tha goya koi mujh sa tha mere ru-ba-ru
Arif Abdul Mateen
mujh ko jannat se uTha kar ye kahan phenk diya
apne maskan se bahut dur rahunga kaise
Arif Ansari
abhi to main ne faqat barishon ko jhela hai
ab is ke baad samundar bhi dekhna hai mujhe
Arif Imam
ajab tha nashsha-e-waraftagi-e-wasl use
wo taza-dam raha mujh ko niDhaal kar ke bhi
Arif Imam