is intiha-e-tark-e-mohabbat ke bawajud
hum ne liya hai nam tumhaara kabhi kabhi
Arsh Malsiyani
maut hi insan ki dushman nahin
zindagi bhi jaan le kar jaegi
Arsh Malsiyani
mohabbat soz bhi hai saz bhi hai
KHamoshi bhi hai ye aawaz bhi hai
Arsh Malsiyani
na nasheman hai na hai shaKH-e-nasheman baqi
lutf jab hai ki kare ab koi barbaad mujhe
Arsh Malsiyani
pi lenge zara shaiKH to kuchh garm rahenge
ThanDa na kahin kar den ye jannat ki hawaen
Arsh Malsiyani
saqi meri KHamosh-mizaji ki laj rakh
iqrar gar nahin hai to inkar bhi nahin
Arsh Malsiyani
tauba tauba ye bala-KHez jawani tauba
dekh kar us but-e-kafir ko KHuda yaad aaya
Arsh Malsiyani