ghuTan se bach ke kahin sans le nahin sakte
jahan bhi jaen ye kala dhuan to sar par hai
Arman Najmi
hua hai qarya-e-jaan mein ye saneha kaisa
mere wajud ke andar hai zalzala kaisa
Arman Najmi
'arsh' kis dost ko apna samjhun
sab ke sab dost hain dushman ki taraf
Arsh Malsiyani
'arsh' pahle ye shikayat thi KHafa hota hai wo
ab ye shikwa hai ki wo zalim KHafa hota nahin
Arsh Malsiyani
ala hai qahr hai aafat hai fitna hai qayamat hai
hasinon ki jawani ko jawani kaun kahta hai
Arsh Malsiyani
as isi dhun mein raha mar ke milegi jannat
tum ko ai shoKH na jine ka qarina aaya
Arsh Malsiyani
chaman mein kaun hai pursan-e-haal shabnam ka
gharib roi to ghunchon ko bhi hansi aai
Arsh Malsiyani