tu zamin par hai kahkashan jaisa
main kisi qabr ke nishan jaisa
main ne har haal mein kiya hai shukr
us ne rakkha mujhe jahan jaisa
ho gai wo bahan bhi ab ruKHsat
pyar jis ne diya tha man jaisa
fasla kyun dilon mein aaya hai
ghar ke aangan ke darmiyan jaisa
mere dil ko mila na lafz koi
mere ashkon ke tarjuman jaisa
mere ek sher mein samaya hai
karb sadiyon ki dastan jaisa
shahr mein ek mujh ko dikhla do
tum mere ganw ke jawan jaisa
jhil si in udas aankhon mein
aks tha nile aasman jaisa
mujh ko waisa KHuda mila bilkul
main ne 'arif' kiya guman jaisa
Ghazal
Tu zamin par hai kahkashan jaisa
Arif Shafiq