gulshan mein na hum honge to phir sog hamara
gul-pairahan o ghuncha-dahan karte rahenge
Abul Mujahid Zahid
jo sote hain nahin kuchh zikr un ka wo to sote hain
magar jo jagte hain un mein bhi bedar kitne hain
Abul Mujahid Zahid
log chun len jis ki tahriren hawalon ke liye
zindagi ki wo kitab-e-mo'tabar ho jaiye
Abul Mujahid Zahid
mila na ghar se nikal kar bhi chain ai 'zahid'
khuli faza mein wahi zahr tha jo ghar mein tha
Abul Mujahid Zahid
nai sahar ke hasin suraj tujhe gharibon se wasta kya
jahan ujala hai sim-o-zar ka wahin teri raushni milegi
Abul Mujahid Zahid
tamam umr KHushi ki talash mein guzri
tamam umr taraste rahe KHushi ke liye
Abul Mujahid Zahid
tum chalo is ke sath ya na chalo
panw rukte nahin zamane ke
Abul Mujahid Zahid