'sahar' ab hoga mera zikr bhi raushan-dimaghon mein
mohabbat nam ki ek rasm-e-beja chhoD di main ne
Abu Mohammad Sahar
takmil-e-arzu se bhi hota hai gham kabhi
aisi dua na mang jise bad-dua kahen
Abu Mohammad Sahar
mehnat se mil gaya jo safine ke bich tha
dariya-e-itr mere pasine ke bich tha
Abu Turab
e-niyaz-e-dahr kar deta hai ishq
be-zaron ko lal-o-zar deta hai ishq
Abul Hasanat Haqqi
jaane kya surat-e-haalat raqam thi us mein
jo waraq chaak hua us ko dobara dekhen
Abul Hasanat Haqqi
main qatl ho ke bhi sharminda apne-ap se hun
ki is ke baad to sara zawal hai us ka
Abul Hasanat Haqqi
meri wahshat bhi sakun-na-ashna meri tarah
mere qadmon se bandhi hai zimmedari aur kya
Abul Hasanat Haqqi