اردو हिंदी
Har ehtimam hai do din ki zindagi ke liye | Shaahi Shayari
har ehtimam hai do din ki zindagi ke liye

Ghazal

Har ehtimam hai do din ki zindagi ke liye

Abul Mujahid Zahid

;

har ehtimam hai do din ki zindagi ke liye
sukun-e-qalb nahin phir bhi aadmi ke liye

tamam umr KHushi ki talash mein guzri
tamam umr taraste rahe KHushi ke liye

na kha fareb wafa ka ye bewafa duniya
kabhi kisi ke liye hai kabhi kisi ke liye

ye daur-e-shams-o-qamar ye farogh-e-ilm-o-hunar
zamin phir bhi tarasti hai raushni ke liye

kabhi uThe the jo KHurshid-e-zindagi ban kar
taras rahe hain wo taron ki raushni ke liye

sitam-taraazi-e-daur-e-KHirad KHuda ki panah
ki aadmi hi musibat hai aadmi ke liye

rah-e-hayat ki tarikiyon mein ai 'zahid'
charagh-e-dil hai mere pas raushni ke liye