اردو हिंदी
Tajdid-e-riwayat-e-kuhan karte rahenge | Shaahi Shayari
tajdid-e-riwayat-e-kuhan karte rahenge

Ghazal

Tajdid-e-riwayat-e-kuhan karte rahenge

Abul Mujahid Zahid

;

tajdid-e-riwayat-e-kuhan karte rahenge
sar marka-e-dar-o-rasan karte rahenge

wo daur-e-KHizan ho ki bahaaron ka zamana
hum yaad tujhe jaan-e-chaman karte rahenge

rangin tere zikr se hum sher o suKHan ko
ai jaan-e-suKHan markaz-e-fan karte rahenge

is aabla-pai pe bhi hum teri talab mein
tai jada-e-alam-o-mehan karte rahenge

duniya hamein diwana samajhti hai to samjhe
hum aam gham-e-dil ka chalan karte rahenge

jalte hain jise sun ke andhere ke parastar
hum aam wahi tarz-e-suKHan karte rahenge

gulshan mein na hum honge to phir sog hamara
gul-pairahan o ghuncha-dahan karte rahenge

'zahid' be-taqaza-e-wafa tarah-e-yaqin par
hum koshish-e-tamir-e-watan karte rahenge