duniya ne kis ka rah-e-fana mein diya hai sath
tum bhi chale chalo yunhi jab tak chali chale
Sheikh Ibrahim Zauq
dikhane ko nahin hum muztarib haalat hi aisi hai
masal hai ro rahe ho kyun kaha surat hi aisi hai
Sheikh Ibrahim Zauq
dekh chhoTon ko hai allah baDai deta
aasman aankh ke til mein hai dikhai deta
even to tiny creatures God greatness does provide
in the pupil of the eye skies can be espied
Sheikh Ibrahim Zauq
osa jo ruKH ka dete nahin lab ka dijiye
ye hai masal ki phul nahin pankhuDi sahi
Sheikh Ibrahim Zauq
e-qarari ka sabab har kaam ki ummid hai
na-umidi ho to phir aaram ki ummid hai
Sheikh Ibrahim Zauq
ehtar to hai yahi ki na duniya se dil lage
par kya karen jo kaam na be-dil-lagi chale
Sheikh Ibrahim Zauq
aja kahe jise aalam use baja samjho
zaban-e-KHalq ko naqqara-e-KHuda samjho
Sheikh Ibrahim Zauq
aiThe bhare hue hain KHum-e-mai ki tarah hum
par kya karen ki mohr hai munh par lagi hui
Sheikh Ibrahim Zauq
ehsan na-KHuda ka uThae meri bala
kashti KHuda pe chhoD dun langar ko toD dun
Sheikh Ibrahim Zauq