aadamiyyat aur shai hai ilm hai kuchh aur shai
kitna tote ko paDhaya par wo haiwan hi raha
Sheikh Ibrahim Zauq
ab to ghabra ke ye kahte hain ki mar jaenge
mar ke bhi chain na paya to kidhar jaenge
being agitated I express the hope to die, although
in death, if solace is not found, then where shall I go?
Sheikh Ibrahim Zauq
ai shama teri umr-e-tabii hai ek raat
hans kar guzar ya ise ro kar guzar de
Sheikh Ibrahim Zauq
ai 'zauq' dekh duKHtar-e-raz ko na munh laga
chhuTti nahin hai munh se ye kafar lagi hui
Sheikh Ibrahim Zauq
ai 'zauq' takalluf mein hai taklif sarasar
aaram mein hai wo jo takalluf nahin karta
save trouble, in formality, zauq nothing else can be
at ease he then remains he who, eschews formality
Sheikh Ibrahim Zauq
ai 'zauq' waqt nale ke rakh le jigar pe hath
warna jigar ko roega tu dhar ke sar pe hath
Sheikh Ibrahim Zauq
azizo is ko na ghaDiyal ki sada samjho
ye umr-e-rafta ki apni sada-e-pa samjho
Sheikh Ibrahim Zauq
aad ranjish ke gale milte hue rukta hai dil
ab munasib hai yahi kuchh main baDhun kuchh tu baDhe
Sheikh Ibrahim Zauq
aqi hai dil mein shaiKH ke hasrat gunah ki
kala karega munh bhi jo daDhi siyah ki
Sheikh Ibrahim Zauq