mera ghar teri manzil gah ho aise kahan talea
KHuda jaane kidhar ka chand aaj ai mah-ru nikla
Sheikh Ibrahim Zauq
mazkur teri bazm mein kis ka nahin aata
par zikr hamara nahin aata nahin aata
Sheikh Ibrahim Zauq
maze jo maut ke aashiq bayan kabhu karte
masih o KHizr bhi marne ki aarzu karte
Sheikh Ibrahim Zauq
maut ne kar diya lachaar wagarna insan
hai wo KHud-bin ki KHuda ka bhi na qail hota
Sheikh Ibrahim Zauq
maraz-e-ishq jise ho use kya yaad rahe
na dawa yaad rahe aur na dua yaad rahe
he who is stricken by love, remembers naught at all
no cure will come to mind, nor prayer will recall
Sheikh Ibrahim Zauq
malum jo hota hamein anjam-e-mohabbat
lete na kabhi bhul ke hum nam-e-mohabaat
had I known this is how love would end
even its name would not cross my lips my friend
Sheikh Ibrahim Zauq
malum jo hota hamein anjam-e-mohabbat
lete na kabhi bhul ke hum nam-e-mohabaat
Sheikh Ibrahim Zauq
lete hain samar shaKH-e-samarwar ko jhuka kar
jhukte hain saKHi waqt-e-karam aur ziyaada
Sheikh Ibrahim Zauq
lai hayat aae qaza le chali chale
apni KHushi na aae na apni KHushi chale
Sheikh Ibrahim Zauq