اردو हिंदी
Nala is shor se kyun mera duhai deta | Shaahi Shayari
nala is shor se kyun mera duhai deta

Ghazal

Nala is shor se kyun mera duhai deta

Sheikh Ibrahim Zauq

;

nala is shor se kyun mera duhai deta
ai falak gar tujhe uncha na sunai deta

why then in a voice so loud would have I despaired
your hearing if, O lofty sky, was not thus impaired

dekh chhoTon ko hai allah baDai deta
aasman aankh ke til mein hai dikhai deta

even to tiny creatures God greatness does provide
in the pupil of the eye skies can be espied

lakh deta falak aazar gawara the magar
ek tera na mujhe dard-e-judai deta

a million aches the skies bestow, I would but gladly bear
if the pain of separation from you were not there

de dua wadi-e-pur-KHar-e-junun ko har gam
dad ye teri hai ai aabla-pai deta

you should bless the thorn filled path of my passion's craze
each step the blisters on my feet sing of you in praise

rawish-e-ashk gira denge nazar se ek din
hai in aankhon se yahi mujh ko dikhai deta

she will drop me like a tear, one day from her eye
with these eyes of mine this is what I can espy

munh se bas karte kabhi ye na KHuda ke bande
gar harison ko KHuda sari KHudai deta

these beings of God's creation will never say "enow"
if even, to these greedy ones, the world he may bestow

panja-e-mehr ko bhi KHun-e-shafaq mein har roz
ghote kya kya hai tera dast-e-hinai deta

henna on your palms compels the sun, its every ray
to submerse itself in evening's scarlet glow each day

kaun ghar aaine ke aata agar wo ghar mein
KHaksari se na jarub-e-safai deta

who, in the mirror of the heart would you ever see?
Until it is burnished by abject humility

main hun wo said ki phir dam mein phansta ja kar
gar qafas se mujhe sayyaad rihai deta

I am that prey who would get snared in the net again
if freedom from the cage the captor ever let me gain

KHugar-e-naz hun kis kis ka ki mujhe saghar-e-mai
bosa-e-lab nahin be-chashm-numai deta

I am so accustomed to her wiles, that till a sign
I get from her, my lips will not kiss the cup of wine

dekh gar dekhna hai 'zauq' ki wo parda-nashin
dida-e-rauzan-e-dil se hai dikhai deta

see if you have the vision zauq, the veil though in between
He, with the eyesight of your heart's window can be seen