kya jaane use wahm hai kya meri taraf se
jo KHwab mein bhi raat ko tanha nahin aata
I wonder to what misgivings she is prone
that even in my dreams she's not alone
Sheikh Ibrahim Zauq
sitam ko hum karam samjhe jafa ko hum wafa samjhe
aur is par bhi na wo samjhe to us but se KHuda samjhe
Sheikh Ibrahim Zauq
shukr parde hi mein us but ko haya ne rakkha
warna iman gaya hi tha KHuda ne rakkha
Sheikh Ibrahim Zauq
sajde mein us ne hum ko aankhen dikha ke mara
kafir ki dekho shoKHi ghar mein KHuda ke mara
Sheikh Ibrahim Zauq
sab ko duniya ki hawas KHwar liye phirti hai
kaun phirta hai ye murdar liye phirti hai
Sheikh Ibrahim Zauq
ulaegi meri yaad un ko muddaton sahab
karenge bazm mein mahsus jab kami meri
Sheikh Ibrahim Zauq
ahta suKHan se nam qayamat talak hai 'zauq'
aulad se to hai yahi do pusht chaar pusht
Sheikh Ibrahim Zauq
ahat ke waste hai mujhe aarzu-e-marg
ai 'zauq' gar jo chain na aaya qaza ke baad
Sheikh Ibrahim Zauq
aqi hai dil mein shaiKH ke hasrat gunah ki
kala karega munh bhi jo daDhi siyah ki
Sheikh Ibrahim Zauq