kis se ja kar mangiye dard-e-mohabbat ki dawa
chaara-gar ab KHud hi bechaare nazar aane lage
Shakeel Badayuni
KHush hun ki mera husn-e-talab kaam to aaya
KHali hi sahi meri taraf jam to aaya
Shakeel Badayuni
khul gaya un ki aarzu mein ye raaz
zist apni nahin parai hai
Shakeel Badayuni
aap jo kuchh kahen hamein manzur
nek bande KHuda se Darte hain
Shakeel Badayuni
kaise kah dun ki mulaqat nahin hoti hai
roz milte hain magar baat nahin hoti hai
Shakeel Badayuni
kabhi yak-ba-yak tawajjoh kabhi dafatan taghaful
mujhe aazma raha hai koi ruKH badal badal ka
Shakeel Badayuni
kafi hai mere dil ki tasalli ko yahi baat
aap aa na sake aap ka paigham to aaya
Shakeel Badayuni
kanTon se guzar jata hun daman ko bacha kar
phulon ki siyasat se main begana nahin hun
Shakeel Badayuni
jine wale qaza se Darte hain
zahr pi kar dawa se Darte hain
Shakeel Badayuni