'shakil' is darja mayusi shuru-e-ishq mein kaisi
abhi to aur hona hai KHarab aahista aahista
Shakeel Badayuni
mujhe to qaid-e-mohabbat aziz thi lekin
kisi ne mujh ko giraftar kar ke chhoD diya
Shakeel Badayuni
mushkil tha kuchh to ishq ki bazi ko jitna
kuchh jitne ke KHauf se haare chale gae
was difficult to win the game of love to a degree
and so I went on losing being afraid of victory
Shakeel Badayuni
na paimane khanakte hain na daur-e-jam chalta hai
nai duniya ke rindon mein KHuda ka nam chalta hai
Shakeel Badayuni
nai subh par nazar hai magar aah ye bhi Dar hai
ye sahar bhi rafta rafta kahin sham tak na pahunche
Shakeel Badayuni
nazar-nawaz nazaron mein ji nahin lagta
wo kya gae ki bahaaron mein ji nahin lagta
Shakeel Badayuni
phir wahi johd-e-musalsal phir wahi fikr-e-maash
manzil-e-jaanan se koi kaamyab aaya to kya
Shakeel Badayuni
pi shauq se waiz are kya baat hai Dar ki
dozaKH tere qabze mein hai jannat tere ghar ki
Shakeel Badayuni
ahmaton se nibah mein guzri
umr sari gunah mein guzri
Shakeel Badayuni