اردو हिंदी
Duniya ki riwayat se begana nahin hun | Shaahi Shayari
duniya ki riwayat se begana nahin hun

Ghazal

Duniya ki riwayat se begana nahin hun

Shakeel Badayuni

;

duniya ki riwayat se begana nahin hun
chheDo na mujhe main koi diwana nahin hun

is kasrat-e-gham par bhi mujhe hasrat-e-gham hai
jo bhar ke chhalak jae wo paimana nahin hun

rudad-e-gham-e-ishq hai taza mere dam se
unwan-e-har-afasana hun afsana nahin hun

ilzam-e-junun den na mujhe ahl-e-mohabbat
main KHud ye samajhta hun ki diwana nahin hun

main qael-e-KHuddari-e-ulfat sahi lekin
aadab-e-mohabbat se to begana nahin hun

hai barq-e-sar-e-tur se dil shola-ba-daman
sham-e-sar-e-mahfil hun main parwana nahin hun

hai gardish-e-saghar meri taqdir ka chakkar
mohtaj-e-tawaf-e-dar-e-mai-KHana nahin hun

kanTon se guzar jata hun daman ko bacha kar
phulon ki siyasat se main begana nahin hun

lazzat-kash-e-nazzara 'shakil' apni nazar hai
mahrum-e-jamal-e-ruKH-e-jaanana nahin hun