hum se mai-kash jo tauba kar baiThen
phir ye kar-e-sawab kaun kare
Shakeel Badayuni
hej di taswir apni un ko ye likh kar 'shakil'
aap ki marzi hai chahe jis nazar se dekhiye
Shakeel Badayuni
e-talluq tere aage se guzar jata hai
ye bhi ek husn-e-talab hai tere diwane ka
Shakeel Badayuni
e-talluq tere aage se guzar jata hai
ye bhi ek husn-e-talab hai tere diwane ka
Shakeel Badayuni
e-piye shaiKH farishta tha magar
pi ke insan hua jata hai
Shakeel Badayuni
adalti ja rahi hai dil ki duniya
nae dastur hote ja rahe hain
Shakeel Badayuni
aat jab hai gham ke maron ko jila de ai 'shakil'
tu ye zinda mayyaten miTTi mein dab aaya to kya
Shakeel Badayuni
apnon ne nazar pheri to dil tu ne diya sath
duniya mein koi dost mere kaam to aaya
Shakeel Badayuni
ai mohabbat tere anjam pe rona aaya
jaane kyun aaj tere nam pe rona aaya
Love your sad conclusion makes me weep
Wonder why your mention makes me weep
Shakeel Badayuni