mujhe dost kahne wale zara dosti nibha de
ye mutalba hai haq ka koi iltija nahin hai
Shakeel Badayuni
mujhe chhoD de mere haal par tera kya bharosa hai chaaragar
ye teri nawazish-e-muKHtasar mera dard aur baDha na de
Leave me to my present state, I do not trust your medicine
Your mercy minor though may be,might increase my pain today
Shakeel Badayuni
mujhe aa gaya yaqin sa ki yahi hai meri manzil
sar-e-rah jab kisi ne mujhe dafatan pukara
I then came to believe it was, my goal, my destiny
When someone in my path called out to me repeatedly
Shakeel Badayuni
mohabbat hi mein milte hain shikayat ke maze paiham
mohabbat jitni baDhti hai shikayat hoti jati hai
Shakeel Badayuni
meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin
jise tere gham se ho wasta wo KHizan bahaar se kam nahin
Shakeel Badayuni
meri tez-gamiyon se nahin barq ko bhi nisbat
kahin kho na jae duniya mere sath sath chal ka
Shakeel Badayuni
mere ham-nafas mere ham-nawa mujhe dost ban ke dagha na de
main hun dard-e-ishq se jaan-ba-lab mujhe zindagi ki dua na de
My companion, my intimate, be not a friend and yet betray
The pain of love is fatal now, for my life please do not pray
Shakeel Badayuni
mera azm itna buland hai ki parae sholon ka Dar nahin
mujhe KHauf aatish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jala na de
My confidence in self is strong, I'm unafraid of foreign flames
I'm scared those sparks may ignite, that in the blossom's bosom lay
Shakeel Badayuni
main nazar se pi raha tha to ye dil ne bad-dua di
tera hath zindagi bhar kabhi jam tak na pahunche
Shakeel Badayuni