ab to KHushi ka gham hai na gham ki KHushi mujhe
be-his bana chuki hai bahut zindagi mujhe
Shakeel Badayuni
kal raat zindagi se mulaqat ho gai
lab tharthara rahe the magar baat ho gai
Shakeel Badayuni
lamhe udas udas fazaen ghuTi ghuTi
duniya agar yahi hai to duniya se bach ke chal
Shakeel Badayuni
lamhat-e-yaad-e-yar ko sarf-e-dua na kar
aate hain zindagi mein ye aalam kabhi kabhi
Shakeel Badayuni
kya hasin KHwab mohabbat ne dikhaya tha hamein
khul gai aankh to tabir pe rona aaya
Shakeel Badayuni
kya asar tha jazba-e-KHamosh mein
KHud wo khich kar aa gae aaghosh mein
Shakeel Badayuni
koi dilkash nazara ho koi dilchasp manzar ho
tabiat KHud bahal jati hai bahlai nahin jati
Shakeel Badayuni
koi ai 'shakil' puchhe ye junun nahin to kya hai
ki usi ke ho gae hum jo na ho saka hamara
But for madness what is this, can anyone divine?
I am hers forevermore, who never can be mine
Shakeel Badayuni
kitni dil-kash hain teri taswir ki ranaiyan
lekin ai parda-nashin taswir phir taswir hai
Shakeel Badayuni