gham-e-umr-e-muKHtasar se abhi be-KHabar hain kaliyan
na chaman mein phenk dena kisi phul ko masal ka
Shakeel Badayuni
gham-e-hayat bhi aaghosh-e-husn-e-yar mein hai
ye wo KHizan hai jo Dubi hui bahaar mein hai
Shakeel Badayuni
gham ki duniya rahe aabaad 'shakil'
muflisi mein koi jagir to hai
Shakeel Badayuni
dushmanon ko sitam ka KHauf nahin
doston ki wafa se Darte hain
Shakeel Badayuni
duniya ki riwayat se begana nahin hun
chheDo na mujhe main koi diwana nahin hun
Shakeel Badayuni
dil ki taraf 'shakil' tawajjoh zarur ho
ye ghar ujaD gaya to basaya na jaega
Shakeel Badayuni
dil ki barbaadiyon pe nazan hun
fath pa kar shikast khai hai
Shakeel Badayuni
chhupe hain lakh haq ke marhale gum-nam honTon par
usi ki baat chal jati hai jis ka nam chalta hai
Shakeel Badayuni
chahiye KHud pe yaqin-e-kaamil
hausla kis ka baDhata hai koi
Shakeel Badayuni