ujale garmi-e-raftar ka hi sath dete hain
basera tha jahan apna wahin tak aaftab aaya
Shakeel Badayuni
tum phir usi ada se angDai le ke hans do
aa jaega palaT kar guzra hua zamana
Shakeel Badayuni
tujh se barham hun kabhi KHud se KHafa
kuchh ajab raftar hai tere baghai
Shakeel Badayuni
tark-e-mai hi samajh ise naseh
itni pi hai ki pi nahin jati
Shakeel Badayuni
suna hai zindagi viraniyon ne luT li mil kar
na jaane zindagi ke naz-bardaron pe kya guzri
Shakeel Badayuni
sitam-nawazi-e-paiham hai ishq ki fitrat
fuzul husn pe tohmat lagai jati hai
Shakeel Badayuni
sidq-o-safa-e-qalb se mahrum hai hayat
karte hain bandagi bhi jahannam ke Dar se hum
Shakeel Badayuni
uz-dili hogi charaghon ko dikhana aankhen
abr chhaT jae to suraj se milana aankhen
would be cowardice to stare down at the flame
let the clouds disperse then look upon the sun
Shakeel Badayuni
hae wo zindagi ki ek saat
jo teri bargah mein guzri
Shakeel Badayuni